Main Chup Raha Ki Zahr Yahi Mujhko Ras Tha

maiñ chup rahā ki zahr yahī mujh ko raas thā

vo sañg-e-lafz pheñk ke kitnā udaas thā

aksar mirī qabā pe hañsī aa ga.ī jise

kal mil gayā to vo bhī darīda-libās thā

maiñ DhūñDhtā thā duur ḳhalāoñ meñ ek jism

chehroñ kā ik hujūm mire ās-pās thā

tum ḳhush the pattharoñ ko ḳhudā jaan ke magar

mujh ko yaqīn hai vo tumhārā qayās thā

baḳhshā hai jis ne ruuh ko zaḳhmoñ kā pairahan

‘mohsin’ vo shaḳhs kitnā tabī.at-shanās thā

Leave a Comment