• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Hum Ko Shab-E-Visal Bhi Ranj-O-Mehan Hua

Hum Ko Shab-E-Visal Bhi Ranj-O-Mehan Hua

poet

ham ko shab-e-visal bhi ranj-o-mehan hua

qismat khilaf-e-taba hua jo sukhan hua

phir aane ki havas men sahar kis khushi ke saath

hamrah-e-nala dard-e-jigar bhi maan hua

gardish bhi us ke kuche men hai aur qarar bhi

qismat to dekhiye ki safar men vatan hua

qatil ada-e-shukr ko ya shikvon ke liye

jo zakhm jism par hua goya dahan hua

sabit-qadam hua na rah-e-ishq men koi

majnun koi hua to koi kohkan hua

kuchh mujh se shab ko ghair ke izhar ke liye

ye ishq-bazi ki thi ki apna ye fan hua

dushman se aur hotin bahut baten pyaar ki

shukr-e-khuda ye hai ki vo but kam-sukhan hua

lab par hansi vo aai vo chin-e-jabin gai

kahta to huun khata hui divana-pan hua

aina dekh dekh ke kya dekhte ho tum

chhuna bhi yaan nasib tumhara badan hua

ab bosa dene men tumhen kis baat ka hai uzr

gaali ke dene se hamen sabit dahan hua

haq baat to ye hai ki usi but ke vaste

zahid koi hua to koi barhaman hua

taqdir ki ye baat hai ab kya kare koi

raazi hue vo bose pe to gum dahan hua

phir mere iztirab men kyuun shak hai aap ko

ulfat ka jab yaqin tumhen ai jan-e-man hua

lab tak na aaya harf-e-tamanna kabhi ‘nizam’

goya mira sukhan bhi tumhara dahan hua

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Kya baiTh Jaen Aan Ke Nazdik Aap Ke

Ye Faza-E-Saz-O-Muzrib Ye Hujum-E-Taj-E-Daran

KHarab-O-KHasta Hue KHak Mein Shabab Mila

Bahut KHush Ho Rahe Ho Kar Ke Baiat Ka Taqaza Tum

Aag Hai Aag Teri Tegh-E-Ada Ka Pani

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet