ham un se kar ga.e hain kinara kabhi kabhi
dil ho gaya hai jaan se pyara kabhi kabhi
raton ki ḳhamushi men mire dil pe rakh ke haath
leti hai ka.enat sahara kabhi kabhi
is tarah bhi vo aate hain aghosh-e-shauq men
girta hai jaise TuuT ke taara kabhi kabhi
main ne jahan-e-shauq ko be-jazba-e-numud
apne hi dekhne ko sanvara kabhi kabhi
jis tarah sarsara.e chaman men shamim-e-gul
is tarah us ne mujh ko pukara kabhi kabhi
ab koi kya kare jo ba-sad sa.i-e-zabt-e-raz
aa jaa.e lab pe naam tumhara kabhi kabhi
ab ahl-e-shahr kis liye ‘shadan’ se hain ḳhafa
aata hai shahr men vo bechara kabhi kabhi
Leave a Reply