jo neki kar ke phir dariya men is ko daal jaata hai
vo jab duniya se jaata hai to mala-mal jaata hai
sambhal kar hi qadam rakhna bayaban-e-mohabbat men
yahan se jo bhi jaata hai bada behal jaata hai
kabhi bhuke padosi ki khabar to li nahin us ne
magar karne vo umra aur haj har saal jaata hai
manaun har baras jashn-e-viladat kis liye akhir
yahan har saal meri umr ka ik saal jaata hai
hai duniya tak hi apni dastaras men daulat-e-duniya
faqat hamrah apne nama-e-aamal jaata hai
bina dekhe khuda ko manta huun is liye ‘sahil’
koi to hai jo ham ko roz daana daal jaata hai
Leave a Reply