hata do chehre se gar dupatta tum apne ai lala-fam aadha
to ho ye sabit ki nikla abr-e-siyah se mah-e-tamam aadha
hua to hai tere hijr men dil hamara jal kar kabab saaqi
kasar agar hai to itni hi hai ki pukhta aadha hai khaam aadha
yahan to dil ko mire jalaya vahan jalaenge jism mera
ye hashr par kyuun utha rakha hai huzur ne intiqam aadha
hamari ulfat ka zikr sun kar adu nikale bhi shiq to kyun-kar
ki lafz-e-shiq men bhi to ye shiq hai ki hai ye ashiq ka naam aadha
ye charke de de ke tu ne mujh ko jo nim-jan kar rakha hai nahaq
halal kar daal ab to zalim hua hai jiina haram aadha
ye kaisi dariya-dili hai saaqi havas bhi dil ki hui na puuri
jo ki inayat bhi to adhuri agar diya bhi to jaam aadha
nazar jo pad jaae us ke qamat pe bas qayamat hi aae ‘anjum’
zamin men gad jaae sarv khajlat se us ki vaqt-e-khiram aadha
Leave a Reply