tum jab aaogi to khoya hua paogi mujhe
meri tanhai men khvabon ke siva kuchh bhi nahin
mere kamre ko sajane ki tamanna hai tumhen
mere kamre men kitabon ke siva kuchh bhi nahin
in kitabon ne bada zulm kiya hai mujh par
in men ik ramz hai jis ramz ka maara hua zehn
muzhda-e-ishrat-e-anjam nahin pa sakta
zindagi men kabhi aram nahin pa sakta
Leave a Reply