
Shauq Bahraichi
ḳhauf ik dil men samaya laraz uTTha kaghaz
kanpte hathon se zalim ne jo moḌa kaghaz
na to niila na to piila na to ujla kaghaz
chahiye un ke talavvun ko tiranga kaghaz
safha-e-dil pe nazar aate hain ab daagh hi daagh
god Daala kisi kambaḳht ne saara kaghaz
baghban ke sitam-o-jaur jo likhte baiThe
lag gaya ram ka ram aur dasta ka dasta kaghaz
jab bhi vo baiThte hain likhne ko iqrar-e-vafa
gaanv bhar men kahin milta nahin purza kaghaz
un ke hathon men qalam-dan-e-hidayat ab hai
jo nahin jante sidha hai ki ulTa kaghaz
kya kahe un ke taḳhayyul ki diyanat koi
jaise dekha hai kabhi baans ka moTa kaghaz
zulm Dha kar bhi abhi tak hai koi be-taqsir
roz likhne pe bhi hai saade ka saada kaghaz
dastan gesu-e-pechan ki jo likhne baiThe
fountain-pen men hamare bahut uljha kaghaz
dam-e-tahrir na zahir ho kahin dil ka ghubar
dekhiye hone na paa.e kahin maila kaghaz
bhejna hai mujhe ik mah-jabin ka ḳhat-e-shauq
‘shauq’-sahab kahin milta nahin baḌhiya kaghaz

Leave a Reply