apni ankhon ke hisaron se nikal kar dekhna
tu kisi din apne na hone ka manzar dekhna
ik adam-ma.alum-muddat se main teri zad men huun
ḳhud ko lamha bhar mira qaidi bana kar dekhna
shaam gahre paniyon men Duub kar ek baar phir
shahr ke maujud manzar ko palaT kar dekhna
dekhna pichhle pahar ḳhvabon ki ik andhi qatar
asman par TuTte taron ka manzar dekhna
mera apne aap se bahar bikhar jaana tamam
aur ḳhizan-dida parindon ka mira ghar dekhna
rang apne aap hi ab sab ke sab zaa.il hue
hai abas divar par ye naqsh-o-paikar dekhna
main ki ḳhud muztar fasil-e-jism ke is paar huun
kya bhanvar ka ḳhauf ab kaisa samundar dekhna
Leave a Reply