tabinda baharon ke nazare nahin dekhe
tu ne vo chamakte hue taare nahin dekhe
kuchh is liye bhi niind hamen aati hai jaldi
ankhon ne abhi khvab tumhare nahin dekhe
khud haath milaya hai samundar men bhanvar se
kashti ne talatum men sahare nahin dekhe
mumkin hai kisi taur koi chara bhi hota
tu ne hi kabhi zakhm hamare nahin dekhe
kya kya na sitam mujh pe kiya raat ne aa kar
din kaise miri jaan guzare nahin dekhe
kya dekh rahe ho ye mohabbat ke karam hain
tum ne kabhi taqdir ke maare nahin dekhe
Leave a Reply