sheva-e-zabt ko rusva dil-e-nashad na kar
lab-e-khamosh ko aluda-e-fariyad na kar
dil hai ganjina-e-sad-gauhar-e-asrar-vafa
ai nigah-e-ghalat-andaz ise barbad na kar
safha-e-dil se mita azmat-e-mazi ke nuqush
hain ye bhule hue afsane inhen yaad na kar
sheva-e-jaur ko rakh ahl-e-vafa tak mahdud
aam faiz-e-khalish-e-dard-e-khuda-dad na kar
rakh nazar vusat-e-daman-karam par apne
tu khata-posh hai ‘makhfi’ ki khata yaad na kar
Leave a Reply