Waqt Karta Hai KHud-Kushi Mujh Mein

vaqt kartā hai ḳhud-kushī mujh meñ

lamha lamha hai zindagī mujh meñ

sone vaalī samā.ato jaago

ḳhāmushī bolne lagī mujh meñ

shukriya ai jalāne vaale terā

duur tak ab hai raushnī mujh meñ

roz apnā hī ḳhuun piitā huuñ

aisī kab thī darindagī mujh meñ

is na.e daur meñ na kho jaa.e

ye jo baaqī hai sādgī mujh meñ

sher merā thā daad us ko milī

shaḳhsiyat kī kamī jo thī mujh meñ

jāntā huuñ maiñ apne qātil ko

roz kartā hai ḳhud-kushī mujh meñ

sher kahnā nahīñ hai sahal ‘farāz’

ye vadī.at hai qudratī mujh meñ

Leave a Comment