• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Lahu Ki Mai Banai Dil Ka Paimana Bana Dala

Lahu Ki Mai Banai Dil Ka Paimana Bana Dala

lahu ki mai bana.i dil ka paimana bana Daala

jigar-daron ne maqtal ko bhi mai-ḳhana bana Daala

hamare jazba-e-tamir ki kuchh daad do yaaro

ki ham ne bijliyon ko sham.a ka shana bana Daala

sitam Dhate ho lekin lutf ka ehsas hota hai

isi andaz ne duniya ko divana bana Daala

bhari mahfil men ham ne baat kar li thi un ankhon se

bas itni baat ka yaron ne afsana bana Daala

mire zauq-e-parastish ki karishma-saziyan dekho

kabhi ka.aba kabhi ka.abe ko but-ḳhana bana Daala

shikayat bijliyon se hai na shikva bad-e-sarsar se

chaman ko ḳhud chaman valon ne virana bana Daala

chalo achchha hua duniya ‘hafiz’ ab duur hai ham se

mohabbat ne hamen duniya se begana bana Daala

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Jab Sham baDhi Raat Ka Chaqu Nikal Aaya

agha-shayar-qazalbash

Ye Kaise Baal Khole Aae Kyun Surat Bani Gham Ki

Maine Yun in Sard Labon Ko Rakkha Un ruKHsaron Par

abdul-hafiz-naeemi

Ghubar-e-dard Se Sara Badan Ata Nikla

azra-abbas

Nahin

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet