tira nanha sa qasid jo tire khat le kar aata tha
na tha maalum use kis tarah ke paigham laata tha
samajh sakta na tha vo khat men kaise raaz pinhan hain
huruf-e-sada men kis hashr ke andaz pinhan hain
use kya ilm in rangin lifafon men chhupa kya hai
kisi mahvash ka in ke bhejne se muddaa kya hai
magar mujh ko khayal aata tha akasr us zamane men
ki us ki hairat-e-tifli hai kyuun gum us fasane men
vo bain kam-sini kya ye na dil men sochta hoga
ki baaji ne hamari apne khat men kya likha hoga
aur akhir vo usi ko naama likh kar bhejti kyuun hain
kabhi bheja to bheja lekin akasr bhejti kyuun hain
vo pahle se ziyada bhaai ko kyuun pyaar karti hain
lifafa de ke lutf-e-khas ka izhar karti hain
phir aaise ajnabi par us ki baaji mehrban kyuun hain
agar hain bhi to ghar valon se ye baten nihan kyuun hain
aur us ke shubhe ki is se bhi to taid hoti hai
chhupa kar khat ko le jaane ki kyuun takid hoti hai?
ye nau-khez ajnabi jaane kahan se akasr aata hai
jab aata hai to baaji ki tarah khat likh ke laata hai
azizon ki tarah ye kyuun makan men aa nahin sakta
jab us se puchhta hai vo use samjha nahin sakta
khilaune de kar us ko muskura deta hai vo akasr
aur ik halka sa thappad bhi laga deta hai vo akasr
tire qasid ke ye afkar dil ko gudgudate the
aur apne bholpan se mere jazbon ko hansate the
nahin mauquf inhi ayyam par jab bhi khayal aaya
tasavvur tere baad us ka bhi naqsha samne laaya
magar aaj is tarah dekha hai vo naqsh-e-hasin main ne
ki rakh di khak-e-hairat par mohabbat ki jabin main ne
vahi nanha sa qasid naujavan ho kar mila mujh ko
zamane ke taghayyur ne pareshan kar diya mujh ko
junun-e-ibtida-e-ishq ne karvat si li dil men
pas-az muddat ye le ke aa gai phir apne muhmal men
tire qasid se milte vaqt mujh ko sharm aati thi
magar us ki nigahon men shararat muskurati thi
shararat ka ye nazzara miri hairat ka saman tha
ki is parda ke andar tera raz-e-ishq uryan tha
Leave a Reply