nalon se mere kab tah-o-bala jahan nahin
kab asman zamin o zamin asman nahin
ankhon se dekh kar tujhe sab manna pada
kahte the jo hamesha chunin hai chunan nahin
us bazm men nahin koi agah-e-dard kab
vaan khanda zer-e-lab idhar ashk-e-nihan nahin
afsurda-dil na ho dar-e-rahmat nahin hai band
kis din khula hua dar-e-pir-e-mughan nahin
lab band hon to rauzan-e-sina ko kya karun
thamta to mujh se nala-e-atish-inan nahin
milna tira ye ghair se ho bahr-e-maslahat
ham ko to sadgi se tiri ye guman nahin
ai dil tamam nafa hai sauda-e-ishq men
ik jaan ka ziyan hai so aisa ziyan nahin
be-vaqt aae dair men kya shorishen karen
ham piir o pir-e-mai-kada bhi naujavan nahin
katti kisi tarah se nahin ye shab-e-firaq
shayad ki gardish aaj tujhe asman nahin
‘azurda’ hont tak na hile us ke ru-ba-ru
maana ki aap sa koi jadu-bayan nahin
Leave a Reply