nakhchir huun main kashmakash-e-fikr-o-nazar ka
haq mujh se ada ho na dar-o-bast-e-hunar ka
maghrib mujhe khinche hai to roke mujhe mashriq
dhobi ka vo kutta huun ki jo ghaat na ghar ka
dabta huun kisi se na dabata huun kisi ko
qaael huun musavat-e-bani-nau-e-bashar ka
har chiiz ki hoti hai koi akhiri had bhi
kya koi bigadega kisi khak-basar ka
dil-gir to be-shak huun pe naumid nahin huun
raushan hai dil-e-shab men diya nur-e-sahar ka
poshida nahin mujh se koi jazr-o-mad-e-shauq
mahram huun sada dilbar-e-angekhta-bar ka
zindan o salasil se sadaqat nahin dabti
hai shan-e-kai silsila bas raqs-e-sharar ka
tasvir koi banti dikhai nahin deti
kiya sarfa abas ham ne kiya khun-e-jigar ka
kya shughl-e-shajar kaar hai afkar se behtar
sauda sar-e-shorida men gar ho na samar ka
kyuun sar-khush-e-raftar na ho ho qafila-e-mauj
rahzan ka hai andesha na gham zad-e-safar ka
daali hai sitaron pe kamand ahl-e-zamin ne
zohra ka vo afsun na fasana vo qamar ka
har baat hai ‘khalid’ ki zamane se nirali
bashinda hai shayad kisi duniya-e-digar ka
Leave a Reply