duub jaana mira muqaddar tha
us ki ankhen na thiin samundar tha
sabab-e-dil-shikastagi mat puchh
samne aaine ke patthar tha
be-tavazun guzar rahi hai hayat
vo miri zindagi ka mehvar tha
jis ki sanson men thi masihai
us ka ek ek lafz nashtar tha
us ko dekha to mar gaya shayad
mujh men poshida ek aazar tha
jis ko ‘abid’ sukun-e-dil kahiye
ab nahin hai kabhi mayassar tha
Leave a Reply