nain to baar baar bhar jaaen
kaise naghme bahar ke gaaen
tera ehsas kho gaya ham se
ab tujhe dhundne kahan jaaen
haath apne lahuluhan hue
ranjishen aur kitni sahlaen
reshmi taar se bandhi thiin magar
tutti hi nahin hain ashaen
aap ke khuun ka rang dekh liya
ab ada-kariyan na dikhlaen
ham mohabbat ke ho liye sahab
aap apni dukan par jaaen
Leave a Reply