kaun kahta hai ki mahrumi ka shikva na karo
haan magar saqi-e-mai-ḳhana ko rusva na karo
zikr chhiḌ jaa.e agar qaum ki bad-baḳhti ka
rahnumaon ki taraf koi ishara na karo
zehn sanjida masa.il se haTane ke liye
roz ye shaiḳh o barhaman ka tamasha na karo
ek bhi lafz haTane ki nahin gunja.ish
mere paigham-e-mohabbat ka ḳhulasa na karo
ye ta.alluq ki ḳharashen bhi maza deti hain
ruuTh jaa.e koi tum se to manaya na karo
aaj bhi main nahin insan se mayus ki jab
log kahte hain ḳhuda par bhi bharosa na karo
Leave a Reply