aankh se aansu Dhalka hota
to phir suraj ubhra hota
kahte kahte gham ka fasana
kaTti raat savera hota
kashti kyuun sahil par Duubi
maujen hotin dariya hota
jo garja pyasi dharti par
kaash vo badal barsa hota
phulon men chhupne valon ko
kanTon men to DhunDa hota
tujh ko paana sahl nahin hai
sahl jo hota to kya hota
apne sau begane hote
ek yagana apna hota
puchh ‘ziya’ ye ahl-e-dil se
pyaar na hota to kya hota
Leave a Reply