• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Main to Nahin Hun in Ke Jaisi Ye to uDna Jaane Hain

Main to Nahin Hun in Ke Jaisi Ye to uDna Jaane Hain

main to nahin huun in ke jaisi ye to uḌna jaane hain

ye jo sab ḳhush-rang parinde pinjre ke divane hain

baiTh zara aram se dil ki Dor mujhe suljhane de

uljhi uljhi dhaḌkan ke kamzor se taane baane hain

apni ḳhaak se duur sahi par sondhi hai hijrat ki dhuul

kahne do kahne vaalo ko duur ke Dhol suhane hain

sirf ghaḌi ki Tik-Tik sunna maut se pahle maut hai yaar

vaqt se aage baḌh kar dekho aage na.e zamane hain

ḳhud ko gale se lagaya dekha man angan barsat ke baad

dhuup si ankhen damak rahi hain bhige bhige shane hain

kis ko pata hai kitna vaqt lagega in ko bharne men

dard to baḌhta hi jaata hai lekin zaḳhm purane hain

ziist ki train men apne apne phone uTha.e gum-sum se

jaane pahchane raston par log sabhi anjane hain

tere dar par ‘sima’ ‘naqvi’ kyon aate hain roz ye sang

ik tu hi divani hai ya baaqi sab divane hain

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Chala Hun Apni Manzil Ki Taraf to Shadman Ho Kar

Hafiz Shirazi

dard-e-Ma Ra Nist darman Al-Ghiyas

obaidullah-aleem

Main Kaise Jiyun Gar Ye duniya Har Aan Nai Taswir Na Ho

Maulana Rumi

Mard-e-Khuda Mast Buwad Be-Sharab

Rut KHizan Ki Hai Aur Hari Hui Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet