nahin ye baat ki parvaz ka irada nahin
faza-e-gulshan-e-hasti magar kushada nahin
mizaj-e-ishq to apna hai e’tidal-pasand
yahi ravish hai kabhi kam nahin ziyada nahin
ḳhizan men bhi mira nashsha utar nahin sakta
ki ye hai josh-e-junun koi josh-e-bada nahin
shu.ur-o-fikr men azad hai mizaj mira
mire badan pe kisi aur ka labada nahin
nigah chahiye tahrir ho ḳhafi ki jali
kitab-e-zist ka koi varaq bhi saada nahin
rah-e-hayat men danista misl-e-sham.a jale
hamari zaat ka isar be-irada nahin
na zad-e-rah ki ḳhvahish na rahbar ki talab
hamare vaste dushvar koi jaada nahin
paḌa jo vaqt to ghairon ne mera saath diya
mire sharik mire ahl-e-ḳhanvada nahin
bisat-e-dahr pe kya chaal kamyab chale
tiri nazar men agar azmat-e-piyada nahin
jahan men milne ko milte hain yuun to sab se ‘lais’
magar kisi se bhi maqsud istifada nahin
Leave a Reply