Nahin Ki Kashti-E-Wahshat Mein Baadban Nahin

nahīñ ki kashtī-e-vahshat meñ bādbān nahīñ

malāl ye hai ki sāhil pe vo makān nahīñ

kahīñ pe hogā koī chāñd ham ko kyā mālūm

hamāre kamre kī khiḌkī meñ āsmān nahīñ

havā ke ruḳh pe laveñ muttahid nahīñ varna

abhī charāġhoñ meñ aisā nahīñ ki jaan nahīñ

ye kaisā shahr hai kis shahryār se pūchhūñ

ye kaisī mez pe huuñ jis pe mezbān nahīñ

na us kī aañkh meñ motī na mere ḳhvāb meñ jhiil

tamāsha ab ke baras koī darmiyān nahīñ

maiñ us ko sochūñgā aur dil ko kuchh nahīñ hogā

yaqīn yuuñ hai ki ab ke koī gumān nahīñ

Leave a Comment