bulbul to bahut hain gul-e-rana nahin koi
bimar hazaron hain masiha nahin koi
kaam aae bure vaqt men aisa nahin koi
tum kya ho zamane men kisi ka nahin koi
ham ishq men hain fard to tum husn men yakta
ham sa bhi nahin ek jo tum sa nahin koi
tum kya karo qismat hi agar apni buri ho
taqdir ke likkhe ko mitata nahin koi
Leave a Reply