nahin asan kisi ke vaste taḳhmina mera
muqarrar hai dayar-e-ghaib se rozina mera
dam-e-ruḳhsat agar main hausle se kaam leta
palaT kar dekh sakta tha use a.ina mera
hadaf ban pa.engi ankhen na mere dushmanon ki
muqabil hai ḳhadang-e-ḳhvab ke ab siina mera
paḌa rahta huun kunj-e-afiyat men sar chhupa kar
guzar jaata hai yuun hi sabt aur adina mera
buḌhapa chha raha hai mere har jazbe pe lekin
javan hota chala jaata hai phir bhi kiina mera
badal sakta tha mere shahr ka ahang ‘sajid’
agar tartib pa sakta kabhi sazina mera
Leave a Reply