shajar bagh-e-jahan ka tha jahan tak sab samar laaya
magar ik naḳhl-e-ah us men na ham ne kuchh asar paaya
bura to mante hain mere ro ro arz karne par
bhala tum ne kabhi kuchh hans ke mere haq men farmaya
jahan ik hasti-e-be-bud hai jyuun aks-e-a.ina
jo ham ne ghaur kar dekha to dhoka hi nazar aaya
Leave a Reply