siine ki aag atish-e-mahshar ho jis tarah
yuun maujzan hai gham ki samundar ho jis tarah
zaḳhmon se yuun hai jism ki divar zau-fagan
sho.alon ka raqs shaḳh-e-shajar par ho jis tarah
badal ka shor hanpte peḌon ki bebasi
yuun dekhta huun mere hi andar ho jis tarah
uḌte hue ghubar men ankhon ka dasht bhi
kuchh yuun laga ki ḳhushk samundar ho jis tarah
basti ke ek moḌ pe barson se ik khanDar
yuun nauhagar hai mera muqaddar ho jis tarah
viraniyon ka kis se gila kijiye ki dil
itna udaas hai ki luTa ghar ho jis tarah
sukh ki ugi na dhuup na dukh ki miTi lakir
yuun hai mira nasib ki patthar ho jis tarah
ehsas men shadid talatum ke bavajud
chup huun mujhe sukun mayassar ho jis tarah
yuun hasraton ke ḳhuun ki mahak men basa hai dil
mehndi-racha vo haat mo.attar ho jis tarah
pyasa huun paas hai vo chamakta hua badan
yuun haat kanpta hai koi Dar ho jis tarah
patthar na jaan tujh ko dikha.unga ab-o-tab
yuun qaid huun ki siip men gauhar ho jis tarah
‘zulfi’ ko khincho! daar pe divar men chuno
sach bolta hai yuun ki payambar ho jis tarah
Leave a Reply