
Qamar Raza Shahzad
nafi ko qarya-e-isbat se nikalta huun
main apni zaat tiri zaat se nikalta huun
kashid karta huun main din ki aag se ThanDak
aur apni dhuup kahin raat se nikalta huun
tu ek ruḳh pe hai mahv-e-kalam lekin main
ka.i ma.ani tiri baat se nikalta huun
dua ke haale bana kar tire jamal ke gird
tujhe main gardish-o-afat se nikalta huun
mira kamal main apni bulandiyan ‘shahzad’
haqir-o-past maqamat se nikalta huun

Leave a Reply