nafas nafas pe mujhe yaad aa.e jaate hain
tamam ruh-e-taḳhayyul pe chha.e jaate hain
ham un ka zauq-e-mohabbat chhupa.e jaate hain
magar ye abr jo savan ke aa.e jaate hain
yahi saman tha kisi ki vida-e-aḳhir ka
sitara-ha-e-sahar jhilmila.e jaate hain
zamana yaad kare ya saba kare ḳhamosh
ham ik charagh-e-mohabbat jala.e jaate hain
‘nushur’ aap ke ash.ar-e-dard kya kahna
kisi ki bazm-e-mohabbat men gaa.e jaate hain
Leave a Reply