main jo rota huun to kahte ho ki aisa na karo
tum agar meri jagah ho to bhala kya na karo
ab to ai dil havas-e-saghar-o-mina na karo
chhoḌ bhi do ye taqaza ye taqaza na karo
dil pe ai dost qayamat si guzar jaati hai
tum nigah-e-ghalat-andaz se dekha na karo
phir bhi ankhen unhen har baat bata deti hain
dil to kahta hai kisi baat ka charcha na karo
ab mira dard miri jaan hua jaata hai
ai mire charagaro ab mujhe achchha na karo
ye sar-e-bazm miri samt ishare kaise
main tamasha to nahin mera tamasha na karo
mil hi jaati hai kabhi yaas men taskin mujhe
ai umido mujhe aise men to chheḌa na karo
us ne ‘shahzad’ tiri baat ko Thukra hi diya
main na kahta tha ki iz.har-e-tamanna na karo
Leave a Reply