nadim chheḌ na us dukh bhare fasane ko
ujaḌ gaya ki ujaḌna tha ashiyane ko
vo muztarib hain miri zindagi men aane ko
magar ye baat gavara nahin zamane ko
tiri vafa ki qasam sach sahi magar ai dost
fareb de nahin sakta koi zamane ko
uThe the mere liye hi tamam hangame
mujhe miTa ke sukun mil gaya zamane ko
Leave a Reply