nadi se koi bhi pyasa na jaa.e
kinaron se agar uljha na jaa.e
ye maana ban chuka hai pul nadi par
magar mallah se uljha na jaa.e
samundar ki bas itni aarzu hai
nadi ka rasta roka na jaa.e
chura kar le gaya hai koi mujh ko
mire andar mujhe DhunDha na jaa.e
kuchh itne ghaur se dekho na us ko
ki phir ḳhud ki taraf dekha na jaa.e
samajh lena tumhara dukh baḌa hai
kisi dukh men agar roya na jaa.e
bigaḌ sakta hai kashti ka tavazun
kinare ki taraf dekha na jaa.e
Leave a Reply