ahl-e-danish ko ḳhabar kya kya hai pagal ka mizaj
sang-baron ko hai kab ma.alum ghayal ka mizaj
kis taraf se hai guzarna aur barasna hai kahan
bas havaon ko pata rahta hai badal ka mizaj
mere sar par rah ke bhi mujh par na saaya kar saka
meri qismat se kahan milta hai anchal ka mizaj
tujh ko palkon men chhupa kar main parastish kar to luun
ansuon ke saath bah jaata hai kajal ka mizaj
jitna bhi chahun nikalna Dubti jaati huun main
teri yadon men mila hai mujh ko daldal ka mizaj
‘mina’ sadiyan aa.iin aur tariḳh ban kar rah ga.iin
lamha lamha janta hai mere har pal ka mizaj
Leave a Reply