dosto dil kahin zinhar na aane paae
dil ke hathon koi azar na aane paae
kijiye husn-parasti magar is qaid ke saath
pyari surat pe zara pyaar na aane paae
khana-e-yar ghar aafat ka hai ai rahgiro
jism par saya-e-divar na aane paae
ai junun tera zamane men rahe jab tak daur
hosh men ashiq-e-sarshar na aane paae
aap par uqda-e-nazuk-kamari khul jaata
ta-kamar gesu-e-khamdar na aane paae
chashm-e-mahbub se nargis ko barabar na karo
paas bimar ke bimar na aane paae
‘bahr’ kuchh gham na karo dil ke juda hone ka
ab baghal men ye bad-atvar na aane paae
Leave a Reply