farogh-e-dida-o-dil lala-e-sahar ki tarah
ujala ban ke raho sham-e-rahguzar ki tarah
payambaron ki tarah se jiyo zamane men
payam-e-shauq bano daulat-e-hunar ki tarah
ye zindagi bhi koi zindagi hai ham-nafaso
sitara ban ke jale bujh ga.e sharar ki tarah
Dara saki na mujhe tirgi zamane ki
andheri raat se guzra huun main qamar ki tarah
samundaron ke talatum ne mujh ko paala hai
chamak raha huun isi vaste guhar ki tarah
tamam koh-o-til-o-bahr-o-bar hain zer-e-nagin
khula hua huun main shahin ke bal-o-par ki tarah
Leave a Reply