jis gham se dil ko rahat ho us gham ka mudava kya ma.ani
jab fitrat tufani Thahri sahil ki tamanna kya ma.ani
ishrat men ranj ki amezish rahat men alam ki ala.ish
jab duniya aisi duniya hai phir duniya duniya kya ma.ani
ḳhud shaiḳh-o-barahman mujrim hain ik kaam se donon pi na sake
saaqi ki buḳhl-pasandi par saaqi ka shikva kya ma.ani
jalvon ka to ye dastur nahin pardon se kabhi bahar aa.en
ai dida-e-be-taufiq tira ye zauq-e-tamasha kya ma.ani
iḳhlas-o-vafa ke sajdon ki jis dar par daad nahin milti
ai ghairat-e-dil ai azm-e-ḳhudi us dar par sajda kya ma.ani
ai sahib-e-naqd-o-nazar maana insan ka nizam nahin achchha
is ki islah ke parde men allah se jhagḌa kya ma.ani
har-lahza fuzun ho josh-e-amal ye farz hai farz ki raah pe chal
tadbir ka ye rona kaisa taqdir ka shikva kya ma.ani
maiḳhane men tu ai vaa.iz ab talqin ke kuchh uslub badal
allah ka banda banne ko jannat ka sahara kya ma.ani
iz.har-e-vafa lazim hi sahi ai ‘arsh’ magar fariyaden kyuun
vo baat jo sab par zahir hai us baat ka charcha kya ma.ani
Leave a Reply