nadi ne giit bhi gaaya nahin hai
qabila lauT kar aaya nahin hai
azal se ye rivayat hai hamari
uThaya hai sitam Dhaya nahin hai
maze ki baat hai dil na-samajh hai
aur us ko main ne samjhaya nahin hai
gham-e-duniya muafi chahta huun
ye dil us ko bhula paaya nahin hai
mujhe tum ghaur se dekho ye main huun
tumhare jism ka saaya nahin hai
isi par mutma.in baiThe hue hain
ki ab insan chaupaya nahin hai
adu ki niind uḌa rakhi hai ‘maz.har’
abhi tak ḳhvab dafnaya nahin hai
Leave a Reply