na tum mile the to duniya charagh-pa bhi na thi
ye mehrban to nahin thi magar ḳhafa bhi na thi
ajab gharibi ke aalam men mar gaya ik shaḳhs
ki sar pe taaj tha daman men ik dua bhi na thi
na itna bikhri thi pahle kitab-e-hasti bhi
aur itni tez mire shahr ki hava bhi na thi
ḳhushi to ye hai ki pas-e-adab rakha ham ne
malal ye hai ki apni koi ḳhata bhi na thi
miri hayat kahan tak tiri safa.i duun
ki tu ḳharab nahin thi to parsa bhi na thi
bhala kiya ki hamen zahr de diya tum ne
alava is ke hamari koi dava bhi na thi
badal raha hai musalsal mizaj duniya ka
ye bevafa thi magar aisi be-haya bhi na thi
Leave a Reply