na samjha huun na samjhaya gaya huun
baḌi uljhan men uljhaya gaya huun
sabab puchho na meri tishnagi ka
ik-ik qatre ko tarsaya gaya huun
mujhe jo dekhte ho is zamin par
falak se toḌ kar laaya gaya huun
kahan ab DhunDte ho ḳhaak meri
hava ke saath hi aaya gaya huun
saza.en mujh ko kaisi mil rahi hain
main mujrim kis ka Thahraya gaya huun
shu.ur aa.e kahan se mere andar
ghalat jo raah dikhlaya gaya huun
Leave a Reply