• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Bastiyan dhundh Rahi Hain Unhen Viranon Mein

Bastiyan dhundh Rahi Hain Unhen Viranon Mein

firaq-gorakhpuri

bastiyan dhundh rahi hain unhen viranon men

vahshaten badh gaiin had se tire divanon men

nigah-e-naz na divanon na farzanon men

jankar ek vahi hai magar an-janon men

bazm-e-mai be-khud-o-be-tab na kyuun ho saaqi

mauj-e-bada hai ki dard uthta hai paimanon men

main to main chaunk uthi hai ye faza-e-khamosh

ye sada kab ki suni aati hai phir kanon men

sair kar ujde dilon ki jo tabiat hai udaas

ji bahal jaate hain akasr inhin viranon men

vusaten bhi hain nihan tangi-e-dil men ghafil

ji bahal jaate hain aksar inhin maidanon men

jaan iman-e-junun silsila jumban-e-junun

kuchh kashish-ha-e-nihan jazb hain viranon men

khanda-e-subh-e-azal tirgi-e-sham-e-abad

donon aalam hain chhalakte hue paimanon men

dekh jab alam-e-hu ko to naya aalam hai

bastiyan bhi nazar aane lagin viranon men

jis jagah baith gae aag laga kar utthe

garmiyan hain kuchh abhi sokhta-samanon men

vahshaten bhi nazar aati hain sar-e-parda-e-naz

damanon men hai ye aalam na garebanon men

ek rangini-e-zahir hai gulistan men agar

ek shadabi-e-pinhan hai bayabanon men

jauhar-e-ghuncha-o-gul men hai ik andaz-e-junun

kuchh bayaban nazar aae hain garebanon men

ab vo rang-e-chaman-o-khanda-e-gul bhi na rahe

ab vo asar-e-junun bhi nahin divanon men

ab vo saaqi ki bhi ankhen na rahin rindon men

ab vo saghar bhi chhalakte nahin mai-khanon men

ab vo ik soz-e-nihani bhi dilon men na raha

ab vo jalve bhi nahin ishq ke kashanon men

ab na vo raat jab ummiden bhi kuchh thiin tujh se

ab na vo baat gham-e-hijr ke afsanon men

ab tira kaam hai bas ahl-e-vafa ka paana

ab tira naam hai bas ishq ke gham-khanon men

ta-ba-kai vada-e-mauhum ki tafsil ‘firaq’

shab-e-furqat kahin katti hai in afsanon men

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Zinat-E-Shahr-E-Wafa Ku-E-Butan Hain Kuchh Log

Altaf-O-Karam Ghaiz-O-Ghazab Kuchh Bhi Nahin Hai

Aawargan-E-Shauq Sabhi Ghar Ke Ho Gae

KHayalon Mein Bhi Akasr Chaunk uTha Hun

afeef-siraj

Khul Gaya Khalwat-e-Tanhai Ka Qissa Ai Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet