lā.egī rañg aap kī ye dil-lagī kuchh aur
baḌh kar rahegī ab mirī āshuftagī kuchh aur
mujh par khuleñge aur abhī rāz-hā-e-ishq
dil ko milegī lazzat-e-bechārgī kuchh aur
merī hayāt ishq hai tamhīd-e-imbisāt
jalve dikhā.egī mujhe ḳhud-raftagī kuchh aur
un kī taraf hai chashm-e-suḳhan go dam-e-aḳhīr
us ke sivā nahīñ asar-e-zindagī kuchh aur
haañ ai ḳhayāl-e-dost dikhā dost ko dikhā
baaqī kuchh aur hai havas-e-bandagī kuchh aur
rahtā na itnā duur maiñ us jalva-gāh se
ai kaash ubhārtā ġham-e-uftādgī kuchh aur
va.ade yūñhī jo karte raheñge vo nau-ba-nau
hāsil karūñgā maiñ tarab-e-zindagī kuchh aur
‘manzūr’ ik nigāh-e-tarab-soz ke sivā
dekhā na ham ne hāsil-e-sharmindagī kuchh aur