mangta huun ḳhairiyat lab par dua rakhta huun main
jaane kab vo lauT aa.e dar khula rakhta huun main
janta huun us ki har narazgi ko main magar
apne hisse ka bhi to koi gila rakhta huun main
vasl ho ya hijr us ke apne honge vasvase
us ka jo bhi faisla ho bas vafa rakhta huun main
us ko bhi to gham bichhaḌne ka ye hona chahiye
is liye us ki gali se silsila rakhta huun main
jo mohabbat sachchi ho to lauT ke aa jaati hai
aaj bhi is jeb men us ka pata rakhta huun main
uljha rahta huun main apne hi ḳhayalon men kahin
koi to gham hai jo andar hi daba rakhta huun main
laakh mushkil aa.e ‘qasid’ chalta rakhna karvan
duur hai par aankh manzil par laga rakhta huun main
Leave a Reply