mujhe khvab apna aziiz tha
so main niind se na jaga kabhi
mujhe niind apni aziiz hai
ki main sar-zamin pe khvab ki
koi phuul aisa khila sakun
ki jo mushk ban ke mahak sake
koi diip aisa jala sakun
jo sitara ban ke damak sake
mira khvab ab bhi hai niind men
miri niind ab bhi hai muntazir
ki main vo karishma dikha sakun
kahin phuul koi khila sakun
kahin diip koi jala sakun
Leave a Reply