• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Na Ras Aai Chaman-Zar Ki Faza Mujhko

Na Ras Aai Chaman-Zar Ki Faza Mujhko

poet

na raas aai chaman-zar ki faza mujh ko

mizaj-e-barq ne be-ghar bana diya mujh ko

tamam umr bhatakte rahe jo rahon men

dikha rahe hain vahi aaj rasta mujh ko

hujum-e-dard men dil ne to sab ka saath diya

mila na apne hi ashkon ka ham-nava mujh ko

vo paas the to har ik shai men dil dhadakta tha

vo duur hain to khatakti hai har faza mujh ko

ye karvan na miri gumrahi pe yuun hansta

rah-e-talab men jo milte vo naqsh-e-pa mujh ko

qadam qadam pe sanvara jinhen mohabbat men

samajh rahe hain vahi ab shikasta-pa mujh ko

koi rafiq na rahbar na koi rahguzar

uda ke laai hai kis shahr men hava mujh ko

‘hayat’ dukhti hui rag ko kis ne chhed diya

uthi vo tiis ki yaad aa gaya khuda mujh ko

Filed Under: Ghazal Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

shahryar

Hazar Bar Miti Aur Paemal Hui Hai

aalok-shrivastav

Agar Safar Mein Mere Sath Mera Yar Chale

Masrur Bhi Hun KHush Bhi Hun Lekin KHushi Nahin

azra-abbas

Self-Portrait

Wahi Andaz Purane Nahin Jiddat Koi

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet