aate aate mira naam sa rah gaya
us ke honton pe kuchh kanpta rah gaya
raat mujrim thi daman bacha le gai
din gavahon ki saf men khada rah gaya
vo mire samne hi gaya aur main
raste ki tarah dekhta rah gaya
jhuut vaale kahin se kahin badh gae
aur main tha ki sach bolta rah gaya
andhiyon ke irade to achchhe na hai
ye diya kaise jalta hua rah gaya
us ko kandhon pe le ja rahe hain ‘vasim’
aur vo jiine ka haq mangta rah gaya
Leave a Reply