akeli kyuun rahe birhan ye barish ne kaha mujh se
bula le paas tu sajan ye barish ne kaha mujh se
tumhari saans mahkegi ki taaza yaad bhi hogi
bhigone de mujhe angan ye barish ne kaha mujh se
kabhi tum saath bhige the magar mafhum ankhen ab
bhigoti hain tira daman ye barish ne kaha mujh se
samundar ke kinaron par chala tha ham-qadam lekin
bana vo shakhs kyuun dushman ye barish ne kaha mujh se
havaon ne tira anchal uda daala tire sar se
badi masti men hai savan ye barish ne kaha mujh se
tire honton men sajti thi tire sajan ke hathon se
kabhi imli kabhi jaman ye barish ne kaha mujh se
kahin pardes men hoga ‘dua’ sajan ko bulva le
na yuun be-kar kar jivan ye barish ne kaha mujh se
Leave a Reply