na purkashish hai na ashna hai
magar vo chehra bhala laga hai
hare jazire pe zard badal
havaon ko aaj kya hua hai
kisi ki ankhon men raat Thahri
kisi ki raton men din ghula hai
tiri udasi ka ye dabistan
kahin kahin se jala hua hai
havao bundon ko rasta do
zamin ka siina chaTaḳh raha hai
miri mohabbat ka sabz mausam
tiri kami men Thahar gaya hai
Leave a Reply