maujon ki sazishon ne kinara nahin diya
tinke ne Dubte ko sahara nahin diya
us ne bhi mera haal na puchha kisi bhi vaqt
main ne bhi us ko koi ishara nahin diya
us raat ko siyah batane men kya gurez
palkon pe jis ne koi sitara nahin diya
tariḳh likh rahi thi na.e sar ki dastan
lekin sinan ne naam hamara nahin diya
muddat se aise ḳhvab men uljhe hue hain log
jis ne haqiqaton men nazara nahin diya
Leave a Reply