ḳhuda se use maang kar dekhte hain
phir apni dua ka asar dekhte hain
hamin hain musafir hamin abla-pa
tamasha ai gard-e-safar dekhte hain
faqiri faqiri faqiri faqiri
na jannat na duniya na ghar dekhte hain
idhar aa ai husn-e-tamanna idhar aa
nazar bhar tujhe ik nazar dekhte hain
kisi aks men ab vo bandhenge mujh ko
chura kar nazar shishagar dekhte hain
na jaane kahan miT ga.e naqsh-e-jan
chalo aaj phir soch kar dekhte hain
hamare hi ghar se nikalta hai aksar
jise log sham-o-sahar dekhte hain
kaḌa imtihan chaak par tha nazar ka
abhi tak vo raqs-e-hunar dekhte hain
Leave a Reply