ab tasavvur men haram hai na sanam-ḳhana hai
main jahan par huun vahin yaar ka kashana hai
justuju-e-haram-o-dair se begana hai
mera dil aap ki tasvir ka divana hai
ab na ka.abe men jhukega na sanam-ḳhane men
mera sar sar nahin sang-e-dar-e-janana hai
sab tiri mast-nigahi ka karam hai saaqi
rind jo bhi yahan hosh se begana hai
Leave a Reply