zaat ki divar bichon-bich ik dar va hua
aḳhiri lamhon men gar ho bhi gaya to kya hua
raqs men mad.hosh ghaugha-e-surud-o-lai men gum
kaun hai ye shiddat-e-azar se hansta hua
teri meri aankh ki miTTi hamesha nam rahe
ho abad se bhi pare ruḳhsat ka pul phaila hua
ba.ad az yak saa.at ḳhamosh matam ḳhatm shud
kyuun kisi ke sog men rukta zaman chalta hua
mere shanon par rida-e-abru-e-ishq hai
barish-e-namus-e-ulfat men hai dil bhiga hua
vo ruka ruk kar muḌa muḌ kar miri janib jhuka
umr ka dariya vahin tham sa gaya bahta hua
meri peshani pe daa.en haath ki angusht se
ek ḳhush-qamat ne apna naam hai likkha hua
Leave a Reply